اردو हिंदी
Kahi na un se jo honTon pe baat aai bhi | Shaahi Shayari
kahi na un se jo honTon pe baat aai bhi

Ghazal

Kahi na un se jo honTon pe baat aai bhi

Jaleel Hashmi

;

kahi na un se jo honTon pe baat aai bhi
ki aashnai bhi thi sharam-e-ashnai bhi

koi talab thi to dast-e-sawal phailate
magar mili thi kahan surat-e-gadai bhi

kaho hawa se chale aaj raat tham tham kar
ki aag hai mere daman mein kuchh parai bhi

tere karam ke fasane to shahar bhar se kahe
tere sitam ki kahan ja ke den dahai bhi

teri sada pe guman dhaDkanon ka hota tha
ajab tha ab ke sukut-e-shab-judai bhi

tumhaari ham-safari ke bhi the bahut ehsan
hui hai wajh-e-nadamat shikasta-pai bhi

nazar bujhi to mile raushni kahan 'hashami'
jala ke shama bahut aankh se lagai bhi