kahen hum kya kisi se dil ki virani nahin jati
hamari zindagi bhi hum se pahchani nahin jati
ba-zahir aisa lagta hai sabhi hain mast duniya mein
magar chehron se poshida pareshani nahin jati
rawa-dari ki chadar se kahan tak KHud ko Dhapenge
ki is kam-zarf duniya mein to ye tani nahin jati
bahut samjha liya dil ko bichhaDna to muqaddar tha
na jaane kyun mere dil se pashemani nahin jati
bahut hi laDla Thahra ye mana dil hamara hai
magar ab is ki har ek baat to mani nahin jati
Ghazal
Kahen hum kya kisi se dil ki virani nahin jati
Farah iqbal