kahe deta hun go hai to nahin ye baat kahne ki
teri KHwahish nahin dil mein zyaada der rahne ki
bacha kar dil guzarta ja raha hun har talluq se
kahan us aable ko tab hai ab choT sahne ki
rag-o-pai mein na hangama kare to kya kare aaKHir
ijazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki
bas apni apni tarjihat apni apni KHwahish hai
tujhe shohrat kamane ki mujhe ek sher kahne ki
jahan ka hun wahin ki ras aaegi faza mujh ko
ye duniya bhi bhala koi jagah hai mere rahne ki
jo kal 'irfan' par guzri suna kuchh us ke bare mein
KHabar tum ne suni tufan mein dariya ke bahne ki
Ghazal
Kahe deta hun go hai to nahin ye baat kahne ki
Irfan Sattar