اردو हिंदी
Kahan ye tab ki chakh chakh ke ya gira ke piyun | Shaahi Shayari
kahan ye tab ki chakh chakh ke ya gira ke piyun

Ghazal

Kahan ye tab ki chakh chakh ke ya gira ke piyun

Shad Azimabadi

;

kahan ye tab ki chakh chakh ke ya gira ke piyun
mile bhara hua saghar to DagDaga ke piyun

hazar talKH ho pir-e-mughan ne jab di hai
KHuda na-karda jo main munh bana bana ke piyun

maza hai baada-kashi ka wahin to ai saqi
piyun jo ab to tere aastan pe aa ke piyun

baghair jalwa dikhae rahe na ye mashuq
jo sat parde ke andar use chhupa ke piyun

main wo nahin ki KHud apne qadah ki KHair manaun
piyun to bazm mein das panch ko pila ke piyun

zamin pe jam ko rakh de zara Thahar saqi
main tujh pe hun lun tasadduq to phir uTha ke piyun

wo mai-kada hai na saqi hai kuchh na puchho 'shad'
main kis ke ghar mein piyun kis ke ghar se la ke piyun