kahin to pa-e-safar ko rah-e-hayat kam thi
qadam baDhaya to sair ko kaenat kam thi
siwae mere kisi ko jalne ka hosh kab tha
charagh ki lau buland thi aur raat kam thi
KHayal sahra-e-zat mein us maqam par tha
jahan ki gunjaish-e-farar-o-najat kam thi
wo fard-e-baKHshish ki jis ki takmil ki hai main ne
nigah Dali to is mein apni hi zat kam thi
bahut hanse KHub roe ji khol kar jiye hum
agarche miad-e-hasti-e-be-sabaat kam thi
tere karam se baDa tha kuchh e'tiqad mera
isi liye mujh ko fikr-e-saum-o-salat kam thi
bahao pani ki bund par KHun ka samundar
nahin to ek qatra-e-lahu se furaat kam thi
ghazal 'muzaffar' ki KHub thi is mein shak nahin hai
magar taghazzul ke nam par ek baat kam thi
Ghazal
Kahan to pa-e-safar ko rah-e-hayat kam thi
Muzaffar Hanfi