kahan talash mein jaun ki justuju tu hai
kahin nahin hai yahan aur chaar-su tu hai
mahaz-e-jang pe khilte nahin hain hath mere
main kya karun ki muqabil mera adu tu hai
badal gaya hai zamana badal gai duniya
na ab wo main hun meri jaan na ab wo tu tu hai
kisi ne uTh ke yahan se kahin nahin jaana
saji hai bazm ki mauzu-e-guftugu tu hai
main dekhta hun kise kuchh mujhe nahin malum
koi bhi samne aa jae hu-ba-hu tu hai
tamam aalam-e-sar-mast hai teri ijad
ye mai-kada hai tera sahib-e-subu tu hai
teri talab ne rakha inhimak pakiza
namaz-e-ishq tere waste wazu tu hai
mera gunah bhi shaista-e-tawakkul hai
ki tu KHuda hai mera aur KHair-KHu tu hai
ye aaine mein koi aur shaKHs hai 'asim'
ghalat KHayal hai tera ki ru-ba-ru tu hai
Ghazal
Kahan talash mein jaun ki justuju tu hai
Asim Wasti