kahan shikwa zamane ka pas-e-diwar karte hain
hamein karna hai jo bhi hum sar-e-bazar karte hain
zamane se rawadari ka rishta ab bhi baqi hai
magar sauda kisi se dil ka hum ek bar karte hain
mahaz-e-jang par sina-sipar ho kar main chalta hun
magar buzdil hamesha pusht par hi war karte hain
nahin milti unhen manzil jinhen KHauf-e-hawadis hai
jo maujon se nahin Darte nadi ko par karte hain
'majid' achchha nahin hota kisi se bhi juda hona
magar ye rasm-e-duniya hum ada sau bar karte hain
Ghazal
Kahan shikwa zamane ka pas-e-diwar karte hain
Abdul Majeed Khan Majeed