kahan pe lai hai meri KHudi kahan se mujhe
na apne dil se gharaz hai na apni jaan se mujhe
na is jahan se nisbat na us jahan se mujhe
bas ek rabt hai duniya-e-be-nishan se mujhe
shuur-e-zist mila fikr-e-do-jahan se mujhe
mata-e-dard mili dil ke aastan se mujhe
qarar-e-jaan na bani apni hasti-e-mauhum
gila yahi hai teri umr-e-jawedan se mujhe
ye ho rahe hain sar-e-arsh tazkire kis ke
ye kis ne aaj bulaya hai jism-o-jaan se mujhe
zara sambhalne to de ai jahan-e-kam-asar
KHud-agahi ne giraya hai aasman se mujhe
payambari ke ewaz main ne shairi ki hai
ye hausla to mila us ke aastan se mujhe

Ghazal
Kahan pe lai hai meri KHudi kahan se mujhe
Rifat-ul-Qasmi