اردو हिंदी
Kahan kisi ko dikhai gai hai KHamoshi | Shaahi Shayari
kahan kisi ko dikhai gai hai KHamoshi

Ghazal

Kahan kisi ko dikhai gai hai KHamoshi

Asif Rasheed Asjad

;

kahan kisi ko dikhai gai hai KHamoshi
baghair jism banai gai hai KHamoshi

tazad ye hai bana kar khanakti miTTi se
mere lahu mein milai gai hai KHamoshi

bala ka shor unDela gaya hai kanon mein
magar zaban ko sikhai gai hai KHamoshi

zamin pe is ka guzara nahin tha is bais
KHala ke beach basai gai hai KHamoshi

kuchh is liye bhi hua shor-e-bazm-e-mai ki unhen
ghazal bana ke sunai gai hai KHamoshi