kahan ki gunj dil-e-na-tawan mein rahti hai
ki tharthari si ajab jism-o-jaan mein rahti hai
qadam qadam pe wahi chashm o lab wahi gesu
tamam umr nazar imtihan mein rahti hai
maza to ye hai ki wo KHud to hai nae ghar mein
aur us ki yaad purane makan mein rahti hai
pata to fasl-e-gul-o-lala ka nahin malum
suna hai qurb-o-jawar-e-KHizan mein rahti hai
main kitna wahm karun lekin ek shua-e-yaqin
kahin nawah-e-dil-e-bad-guman mein rahti hai
hazar jaan khapata rahun magar phir bhi
kami si kuchh mere tarz-e-bayan mein rahti hai
Ghazal
Kahan ki gunj dil-e-na-tawan mein rahti hai
Ahmad Mushtaq