kahan hai koi KHuda ka KHuda ke bandon mein
ghira hua hun abhi tak ana ke bandon mein
na koi samt muqarrar na koi ja-e-qarar
hai intishaar ka aalam hawa ke bandon mein
wo kaun hai jo nahin apni maslahat ka ghulam
kahan hai bu-e-wafa ab wafa ke bandon mein
KHuda kare ki samaat se main rahun mahrum
kabhi jo zikr ho mera riya ke bandon mein
sazaen meri tarah hans ke jhelne wala
nahin hai koi bhi ahd-e-saza ke bandon mein
na aafiyat ki sahar hai na imbisat ki sham
hun ek umr se sahra bala ke bandon mein
suKHan shanas hai kitna ye puchh lun 'qaisar'
nazar wo aae jo harf-o-nawa ke bandon mein
Ghazal
Kahan hai koi KHuda ka KHuda ke bandon mein
Qaisar Shameem