kahan gae shab-e-mahtab ke jamal-zada
akela shahr mein phirta hun main KHayal-zada
tumhaari bazm se jab bhi uThe to haal-zada
kabhi jawab ke mare kabhi sawal-zada
tere firaq ke mare nazar to aate hain
nigar-e-sher kahan hain tere visal-zada
na dekho yun meri jaanib udas aankhon se
ki mujh se pahle bhi guzre bahut kamal-zada
sitare Dub rahe hain 'jamil' so jao
ye karobar-e-jahan kab na tha maal-zada
Ghazal
Kahan gae shab-e-mahtab ke jamal-zada
Ataur Rahman Jameel