kaha gaya na kabhi aur kabhi suna na gaya
main aisa harf hun jo aaj tak likha na gaya
daba ke honTon mein lai thi muddaa kya kya
magar wo samne aaya to kuchh kaha na gaya
bichhaD ke tum se abhi tak bhaTak rahi hun main
tumhaare ghar ki taraf koi rasta na gaya
abhi bhi yaad hai tum ko hamare hath ki chae
KHuda ka shukr abhi tak wo zaiqa na gaya
kai mawaqe meri zindagi mein aae magar
kisi pe hans liye itna ki phir hansa na gaya
main apne chehre par aankhen talash karti rahi
wo jab talak mujhe apni jhalak dikha na gaya
main aate aate nishane pe rah gai 'raKHshan'
ki ab ke bar bhi us ka ghalat nishana gaya

Ghazal
Kaha gaya na kabhi aur kabhi suna na gaya
Rakhshan Hashmi