kaDe hain kos safar dur ka zaruri hai
gharon se rishton ka ab KHatma zaruri hai
parastish apni ana ke buton ki kar li bahut
sukun-e-dil ke liye ek KHuda zaruri hai
kahin to thoDi si gunjaish-e-KHulus mile
dilon mein chhup ke yahan jhankna zaruri hai
main sang-e-rah hun to Thokar ki zad pe aaunga
tum aaina ho to phir TuTna zaruri hai
na socho tark-e-talluq ke moD par ruk kar
qadam baDhao ki ye hadsa zaruri hai
tamam safhe sabhi goshware jab tere
hamara karb kitabon mein kya zaruri hai
Ghazal
KaDe hain kos safar dur ka zaruri hai
Musavvir Sabzwari