اردو हिंदी
Kabhi wafur-e-tamanna kabhi malamat ne | Shaahi Shayari
kabhi wafur-e-tamanna kabhi malamat ne

Ghazal

Kabhi wafur-e-tamanna kabhi malamat ne

Husain Abid

;

kabhi wafur-e-tamanna kabhi malamat ne
thaka diya hai badan roz ki KHajalat ne

main zaKHm zaKHm tha bistar ki silwaTon mein ghira
mera jo haal kiya subh ki malahat ne

faza-e-jabr tujhe chaak chaak kar denge
nigal liye jo sitare teri kasafat ne

kisi jamal ki chhab ho kisi kamal ki zau
ujaD Dala hai pazhmurdagi ki aadat ne

hum aise kaun se gharq-e-nashat-o-aish the jo
hamein hi tak liya KHauf ki risalat ne

ghurur hi ka na bahrup ho 'husain-abid'
jo ijz tujh ko diya hai teri ibaadat ne