kabhi tum ne kuchh to diya nahin kabhi hum ne kuchh to liya nahin 
hamein zindagi se ho bahs kya koi waqia to hua nahin 
magar aisi koi KHalish bhi thi jo faqat hamara nasib thi 
ki jo rog hum ne laga liya kisi aur ko to laga nahin 
zara dekhna ki wo kaun hai pas-e-ramz-e-wahshat-e-ashiqi 
bhala kis ne hum ko shikast di kabhi pahle aisa hua nahin 
jise pas aana tha aa gaya aur nafas ke tar bhi juD gae 
ki talab ki thin yahi manzilen koi fasla to raha nahin 
baDi wusaten hain zamin par hamein aur chahiye kya magar 
wo jo husn us ki nazar mein hai koi us se baDh kar mila nahin 
wo jo mil chuki hain aziyyaten chalo man len ki bahut hua 
magar ab mila hai jo hausla kisi aur ko to mila nahin
        Ghazal
Kabhi tumne kuchh to diya nahin kabhi humne kuchh to liya nahin
Ahmad Hamesh

