kabhi sukun to kabhi iztirab bhi jhela
khuli jo aankh to anjam-e-KHwab bhi jhela
qadam qadam pe purane sabaq bhi yaad aae
qadam qadam pe badalta nisab bhi jhela
bayaz-e-dil ke sunahre huruf bhi chume
kitab-e-jaan pe likha intisab bhi jhela
hamara haq bhi musallam tha qatre qatre par
hamin ne tishna-labi ka azab bhi jhela
kabhi jo aaina-KHane ki sair ko nikle
to ek manzar-e-KHud ehtisab bhi jhela
chale to sare zamane ko sath le ke chale
ruke to aalam-e-KHud-ijtinab bhi jhela
na jaane kis ki rahi justuju 'ziya' hum ko
ki hum ne ek dil-e-KHana-KHarab bhi jhela
Ghazal
Kabhi sukun to kabhi iztirab bhi jhela
Zia Faruqi