kabhi na aasuda-e-amal ho magar irada bhi kam nahin hai
aur is irade ka unchi aawaz mein iada bhi kam nahin hai
shahanshah-e-waqt aur darbari apne sud o ziyan se waqif
sarir-ara-e-saltanat koi KHanwada bhi kam nahin hai
asa-e-farman-rawai jadu jagae jis taur bhi rawa hai
rumuz-e-asrar-e-hukmarani mein shahzada bhi kam nahin hai
koi rakhe be-jahat safar mein masafaton ka hisab kaise
ki tausan-e-be-zamam ko be-nishan jada bhi kam nahin hai
yahi bahut hai kisi tarah se bharam hi rah jae pesh duniya
agar mayassar nahin hai baada KHayal-e-baada bhi kam nahin hai
mujh aise uftad-gan ki Dhaaras na jaane kaise bandhi hui hai
pahaD si umr kaTne ko ye zehn-e-sada bhi kam nahin hai
kisi ka khoTa nasib 'yasir' kise KHabar kis ghaDi khara ho
julus-e-shahi ke sath ek be-zaban piyaada bhi kam nahin hai

Ghazal
Kabhi na aasuda-e-amal ho magar irada bhi kam nahin hai
Khalid Iqbal Yasir