اردو हिंदी
Kabhi main chup kabhi harf-e-bayan mein rahta hun | Shaahi Shayari
kabhi main chup kabhi harf-e-bayan mein rahta hun

Ghazal

Kabhi main chup kabhi harf-e-bayan mein rahta hun

Khaavar Ejaz

;

kabhi main chup kabhi harf-e-bayan mein rahta hun
main apne shahr ki har ek zaban mein rahta hun

badal liya hai zara KHwab ke ilaqe ko
makan ko chhoD ke ab la-makan mein rahta hun

main ek harf-e-tasalli hun narm-dil ke liye
hamesha se nigah-e-mehr-ban mein rahta hun

mujhe zamin pe har samt dar-ba-dar kar ke
bata raha hai ki main aasman mein rahta hun

chalo ye man liya ek mahak hun mazi ki
magar ye hai ki main asr-e-rawan mein rahta hun

nai kahani mujhe kyun gawara karne lagi
purana harf hun aur dastan mein rahta hun

subuk KHayal nahin hun ki tere hath aaun
bahut pare kahin KHwab-e-giran mein rahta hun