kabhi kisi ne jo dil dukhaya to dil ko samjha gai udasi
mohabbaton ke usul sare hamein bhi sikhla gai udasi
tumhein jo socha to mere dil se udasiyon ka hujum guzra
kabhi kabhi to hua hai yun bhi ki be-sabab chha gai udasi
paDi hui thi niDhaal ho kar hamari aankhon ke aanganon mein
kisi ki aahaT suni to chaunki zara si ghabra gai udasi
zara si duri pe baiTh kar wo nigah mujh se mila rahi thi
jo apni banhon mein bhar liya to ada se sharma gai udasi
wo daur bhi tha ki faslon se guzar rahi thi nadi ki surat
na jaane kis ki dua hai yaron ki mujh mein bhi aa gai udasi
na jaane kin pahluon mein rah kar hui hai gahri meri udasi
na jaane kin kin labon se pi kar ye zindagi pa gai udasi
mili thi jis din laga tha yun ke nahin banegi kabhi hamari
jo sath hum ne bitae kuchh din to ek din bha gai udasi
Ghazal
Kabhi kisi ne jo dil dukhaya to dil ko samjha gai udasi
Tripurari