اردو हिंदी
Kabhi KHud pe kabhi haalat pe rona aaya | Shaahi Shayari
kabhi KHud pe kabhi haalat pe rona aaya

Ghazal

Kabhi KHud pe kabhi haalat pe rona aaya

Sahir Ludhianvi

;

kabhi KHud pe kabhi haalat pe rona aaya
baat nikli to har ek baat pe rona aaya

hum to samjhe the ki hum bhul gae hain un ko
kya hua aaj ye kis baat pe rona aaya

kis liye jite hain hum kis ke liye jite hain
barha aise sawalat pe rona aaya

kaun rota hai kisi aur ki KHatir ai dost
sab ko apni hi kisi baat pe rona aaya