kabhi kabhi arz-e-gham ki KHatir hum ek bahana bhi chahte hain
jab aansuon se bhari hon aankhen to muskurana bhi chahte hain
wo dil se tang aa ke aaj mahfil mein husn ki tamkanat ki KHatir
nazar bachana bhi chahte hain nazar milana bhi chahte hain
maza jab aae ki intiqaman main dil ka aaina toD Dalun
mere hi hathon saje hain aur ab mujhi pe chhana bhi chahte hain
jabhi to KHud aaj shahr ke gul-ruKHon ki tarif kar rahe hain
wo intiKHab-e-nazar ko mere ab aazmana bhi chahte hain
agarche tufan-e-rang-o-bu ki sharir lahron se thak chuke hain
magar wo dil ke nae talatum ki zad mein aana bhi chahte hain
'salam' aazad shaeri ki tawil o dushwar rah mein hum
kabhi kabhi barbat-e-taghazzul pe gunguna bhi chahte hain
Ghazal
Kabhi kabhi arz-e-gham ki KHatir hum ek bahana bhi chahte hain
Salam Machhli shahri