اردو हिंदी
Kabhi jo aankhon ke aa gaya aaftab aage | Shaahi Shayari
kabhi jo aankhon ke aa gaya aaftab aage

Ghazal

Kabhi jo aankhon ke aa gaya aaftab aage

Hasan Abbasi

;

kabhi jo aankhon ke aa gaya aaftab aage
tere tasawwur mein hum ne kar li kitab aage

wo baad-e-muddat mila to rone ki aarzu mein
nikal ke aankhon se gir paDe chand KHwab aage

dil-o-nazar mein hi apne KHeme laga liye hain
hamein KHabar hai ki rasta hai KHarab aage

nazar ke hairat-kade mein kab ka khaDa hua hun
ek aaine mein khila hua hai gulab aage

guzarne wala tha rah-guzar-e-hayat se main
wo ek lamha ki aa gae phir janab aage

'hasan' jo mazi ka safha ulTa to aa gae hain
khajur ke peD Tile aur mahtab aage