kabhi iqrar hona tha kabhi inkar hona tha
use kis kis tarah se dar-paye aazar hona tha
suna ye tha bahut aasuda hain sahil ke bashinde
magar TuTi hui kashti mein dariya par hona tha
sada-e-al-aman diwar-e-girya se palaT aai
muqaddar kufa o kabul ka jo mismar hona tha
muqaddar ke nawishte mein jo likkha hai wahi hoga
ye mat socho ki kis par kis tarah se war hona tha
yahan hum ne kisi se dil lagaya hi nahin 'manzar'
ki is duniya se aaKHir ek din be-zar hona tha
Ghazal
Kabhi iqrar hona tha kabhi inkar hona tha
Umair Manzar