kabhi hawa kabhi bijli ke ham-rikab hua
phir is ke baad main jine mein kaamyab hua
nazar-nawaz nazare the mere chaaron taraf
khuli jo aankh to barham wo sara KHwab hua
kabhi jo bais-e-rahat tha ahl-e-dil ke liye
ye kya hua ki wo manzar bhi ab azab hua
wo al-atash ki sadaen wo karb-e-tishna-labi
furaat jis ke tasawwur se aab aab hua
hamari chiKH fazaon mein kho gai yani
khula daricha koi wa na koi bab hua
hamare qatl ki sazish mein tha sharik to kya
KHata muaf karam us ka be-hisab hua
ana pasand tabiat ki sarfaraazi dekh
ki 'naz' KHak mein mil kar bhi aaftab hua
Ghazal
Kabhi hawa kabhi bijli ke ham-rikab hua
Naz Quadri