kabhi hans kar kabhi aansu baha kar dekh leta hun
main har chehre ko aaina dikha kar dekh leta hun
bahut bechain kar deti hain jab tanhaiyan ghar ki
dar-o-diwar par shaklen bana kar dekh leta hun
chhupata hai bahut mujh ko mera saya magar phir bhi
main KHud ko raushni se dur ja kar dekh leta hun
nazar aata nahin jab harf koi lauh-e-alam par
main apna nam likh kar aur miTa kar dekh leta hun
jise dekha nahin hai dekh kar bhi meri aankhon ne
main us ko apne KHwabon mein saja kar dekh leta hun
nahin milta kahin jab apni hasti ka nishan mujh ko
main apna aks pani mein baha kar dekh leta hun
jise dekha nahin rota hun us ki yaad mein shab-bhar
jise paya nahin us ko ganwa kar dekh leta hun
kabhi karna ho andaza jab apne dard ka mujh ko
main us bedard ke dil ko dukha kar dekh leta hun
pahan leti hain jab shaKHen hare mausam ke pairahan
koi TuTa hua patta uTha kar dekh leta hun
Ghazal
Kabhi hans kar kabhi aansu baha kar dekh leta hun
Nazeer Qaisar