kabhi hum mein tum mein bhi pyar tha tumhein yaad ho ki na yaad ho
na kisi ke dil mein ghubar tha tumhein yaad ho ki na yaad ho
ye chali hai kaisi hawa ki ab nahin khilte phul milap ke
kabhi daur-e-fasl-e-bahaar tha tumhein yaad ho ki na yaad ho
thin baham nashat ki mahfilen thin qadam mein lutf ki manzilen
baDa zindagi pe nikhaar tha tumhein yaad ho ki na yaad ho
thi har ek baat mein chashni haq-o-sidq-o-lutf-o-KHulus ki
rah-e-haq pe chalna shiar tha tumhein yaad ho ki na yaad ho
hue laD ke hum se agar juda rakhi aur mulk ki ek bana
ye tumhin ka shauq-e-farar tha tumhein yaad ho ki na yaad ho
hui jang-o-harab ki ibtida to batao bas yahi ek pata
koi tum mein nang-e-waqar tha tumhein yaad ho ki na yaad ho
Ghazal
Kabhi hum mein tum mein bhi pyar tha tumhein yaad ho ki na yaad ho
Arsh Malsiyani