kabhi apnon ki yurish thi kabhi ghairon ka rela tha
tere milne ki KHatir hum ne kya kya dukh na jhela tha
mere ahbab kya be-waqt mere pas aa baiThe
ghaTa ghanghor thi wo apne kamre mein akela tha
hamara sham-e-tanhai mein pursan hi na tha koi
wo jis mahfil mein jate the wahin yaron ka mela tha
mohabbat ki junun-angeziyon se hum bhi waqif hain
jawani mein jawano hum ne bhi ye khel khela tha
udhar wo the ki thi ek daulat-e-bedar pas un ke
idhar hum the ki apni jeb mein paisa na Dhela tha
hui muddat ki un ko KHwab mein bhi ab nahin dekha
main jin galiyon mein apne doston ke sath khela tha
jawani mein hamari tund-KHui ek aafat thi
hamare dam se har mahfil mein jhagDa tha jhamela tha
'hamid' us chah-e-gham se aaj tak bahar nahin aaya
azizon ne use muddat hui jis mein Dhakela tha
Ghazal
Kabhi apnon ki yurish thi kabhi ghairon ka rela tha
Hameed Jalandhari