kabhi angDai le kar jab samundar jag uThta hai
mere andar purana ek shanawar jag uThta hai
nasheman-gir hain tair bhala samjhen to kya samjhen
wo kaifiyat ki jab shahin ka shahpar jag uThta hai
main jab bhi khinchta hun ek naqsha roz-e-raushan ka
na jaane kaise is mein shab ka manzar jag uThta hai
zamana gamzan hai phir unhi haalat ki jaanib
biphar kar jab ababilon ka lashkar jag uThta hai
mere ehsas ki rag se ulajh paDta hai jo lamha
usi lamhe taDap kar ek suKHan-war jag uThta hai
wo tare jo chamak rakhte nahin kuchh roz-e-raushan mein
shab-e-tarik mein un ka muqaddar jag uThta hai
ye mana sail-e-ashk-e-gham nahin kuchh kam magar 'arshad'
zara utra nahin dariya ki banjar jag uThta hai
Ghazal
Kabhi angDai le kar jab samundar jag uThta hai
Arshad Kamal