kab tak us ka hijr manata sahra chhoD diya
jine ki ummid mein main ne kya kya chhoD diya
mere sath laga rahta hai yaadon ka baadal
dhup-bhare raston par us ne saya chhoD diya
har chehre par ek chehre ka dhoka hota hai
kis ne mujh ko is basti mein tanha chhoD diya
duniya sab kuchh jaan gai hai mere bare mein
bint-e-alam ne na-mahram se parda chhoD diya
pahle pahle KHauf bahut aata tha marne se
phir wo manzil aai main ne Darna chhoD diya
Ghazal
Kab tak us ka hijr manata sahra chhoD diya
Obaid Siddiqi