kab tak phirunga hath mein kasa uTha ke main
ji chahta hai bhag lun duniya uTha ke main
hoti hai nind mein kahin tashkil-e-KHadd-o-KHal
uThta hun apne KHwab ka chehra uTha ke main
baad az sada-e-kun hui taqsim-e-hast-o-bud
phirta tha kaenat akela uTha ke main
kyunkar na sahl ho mujhe rah-e-dayar-e-ishq
laya hun dasht-e-najd ka naqsha uTha ke main
baDhne laga tha nashsha-e-taKHliq-e-ab o KHak
wo chaak uTha ke chal diya kuza uTha ke main
hai saat-e-visal ke malne pe munhasir
kas samt bhagta hun ye lamha uTha ke main
qurbat-pasand dil ki tabiat mein tha tazad
KHush ho raha hun hijr ka sadma uTha main
ab mujh ko ehtimam se kije supurd-e-KHak
ukta chuka hun jism ka malba uTha ke main
achchha bhala to tha tan-e-tanha jahan mein
pachhta raha hun KHalq ka beDa uTha ke main
'azar' mujhe madine se hijrat ka hukm tha
sahra mein le ke aa gaya KHema uTha ke main
Ghazal
Kab tak phirunga hath mein kasa uTha ke main
Dilawar Ali Aazar