اردو हिंदी
Kab qabil-e-taqlid hai kirdar hamara | Shaahi Shayari
kab qabil-e-taqlid hai kirdar hamara

Ghazal

Kab qabil-e-taqlid hai kirdar hamara

Hayat Lakhnavi

;

kab qabil-e-taqlid hai kirdar hamara
har lamha guzarta hai KHatawar hamara

marna bhi jo chahen to wo marne nahin dega
jina bhi kiye rahta hai dushwar hamara

achchha hai udhar kuchh nazar aata nahin hum ko
jo kuchh bhi hai wo sab pas-e-diwar hamara

ek roz to ye fasla tai kar ke rahenge
hai kab se koi muntazir us par hamara

hum ko ye KHushi hai ki idhar aae to patthar
hai shahr mein koi to talabgar hamara

koi to ye tanhai ka ehsas miTae
koi to nazar aae taraf-dar hamara

hum ne to 'hayat' aas lagai hai KHuda se
hai us ke siwa kaun madad-gar hamara