kab logon ne alfaz ke patthar nahin phenke
wo KHat bhi magar main ne jala kar nahin phenke
Thahre hue pani ne ishaara to kiya tha
kuchh soch ke KHud main ne hi patthar nahin phenke
ek tanz hai kaliyon ka tabassum bhi magar kyun
main ne to kabhi phul masal kar nahin phenke
waise to irada nahin tauba-shikani ka
lekin abhi TuTe hue saghar nahin phenke
kya baat hai us ne meri taswir ke TukDe
ghar mein hi chhupa rakkhe hain bahar nahin phenke
darwazon ke shishe na badalwaiye 'nazmi'
logon ne abhi hath se patthar nahin phenke
Ghazal
Kab logon ne alfaz ke patthar nahin phenke
Akhtar Nazmi