اردو हिंदी
Kab ek maqam pe rukti hai sar-phiri hai hawa | Shaahi Shayari
kab ek maqam pe rukti hai sar-phiri hai hawa

Ghazal

Kab ek maqam pe rukti hai sar-phiri hai hawa

Bilqis Zafirul Hasan

;

kab ek maqam pe rukti hai sar-phiri hai hawa
tamam shahr o bayaban ko chhanti hai hawa

nasib-e-pa-e-junun hai sada ki dar-badri
hawa-e-jada-o-manzil mein kab chali hai hawa

ye pech-o-tab hai kaisa sabab nahin khulta
bana bana ke bagule bigaDti hai hawa

siwae KHak na kuchh hath aaj tak aaya
sarab ret se sahra mein chhanti hai hawa

ghazab ka ghaiz o ghazab tha jo hum na bikhre the
bikhar gae hain to kaisi Dari khaDi hai hawa

ukhaD toD ke basti ke sab makanon ko
chhipi khanDar mein pashiman ro rahi hai hawa

wo ek baat jo KHud se bhi hum na kahte the
zaban zaban pe wahi baat dhar gai hai hawa

tamam lala o gul ke charagh raushan hain
shajar shajar pe shagufon mein jal rahi hai hawa

kab apna hath pahunchta gulab tak 'bilqis'
mere nasib se shaKHon mein ja phansi hai hawa