kar-e-din us but ke hathon hae abtar ho gaya
jis musalman ne use dekha wo kafar ho gaya
dilbaron ke naqsh-e-pa mein hai sadaf ka sa asar
jo mera aansu gira us mein so gauhar ho gaya
kya badan hoga ki jis ke kholte jame ka band
barg-e-gul ki tarah har naKHun moattar ho gaya
aankh se nikle pa aansu ka KHuda hafiz 'yaqin'
ghar se jo bahar gaya laDka so abtar ho gaya
Ghazal
Kar-e-din us but ke hathon hae abtar ho gaya
Yaqeen Inamullah Khan