kaam aati nahin ab koi tadbir hamari
hum se hai KHafa sahibo taqdir hamari
aata hi nahin baz kabhi kar-e-ziyan se
pani pe banata hai wo taswir hamari
ab sar pe Thaharti nahin dastar-e-shujaat
KHud apna lahu piti hai shamshir hamari
hum KHana-KHarabi ke asar se nahin nikle
puri na hui hasrat-e-tamir hamari
ab ru-ba-ru aati hi nahin subh-e-masarrat
Talti hi nahin hai shab-e-dil-gir hamari
har shaKHs haqarat se hamein dekh raha hai
koi bhi batata nahin taqsir hamari
wo gosha-e-tanhai mein paDhta hai shab o roz
us ke waraq dil pe hai tahrir hamari
gumrah na hone diya sabit-qadami ne
shaista-e-tahzib hai zanjir hamari
hum wajd mein Dube rahe aur ret ki surat
muTThi se sarakti rahi jagir hamari
be-tab-o-tawan zinat-e-diwar hai 'aKHtar'
ab larza-bar-andam hai shamshir hamari
Ghazal
Kaam aati nahin ab koi tadbir hamari
Sultan Akhtar