kaghaz kaghaz dhul uDegi fan banjar ho jaega
jis din sukhe dil ke aansu sab patthar ho jaega
TuTengi jab nind se palken so jaunga chupke se
jis jangal mein raat paDegi mera ghar ho jaega
KHwabon ke ye panchhi kab tak shor karenge palkon par
sham Dhalegi aur sannaTa shaKHon par ho jaega
raat qalam le kar aaegi itni siyahi chhiDkegi
din ka sara manzar-nama be-manzar ho jaega
naKHun se bhi inT kureden mil-jul kar ham-sae to
aangan ki diwar na TuTe lekin dar ho jaega
'qaisar' ro lo ghazlen kah lo baqi hai kuchh dard abhi
agli ruton mein yun lagta hai sab patthar ho jaega
Ghazal
Kaghaz kaghaz dhul uDegi fan banjar ho jaega
Qaisar-ul-Jafri