اردو हिंदी
Kaenat-e-gham mein zehn ek KHala hai | Shaahi Shayari
kaenat-e-gham mein zehn ek KHala hai

Ghazal

Kaenat-e-gham mein zehn ek KHala hai

Khaleel Mamoon

;

kaenat-e-gham mein zehn ek KHala hai
KHwab ka parinda jis mein aD raha hai

raat kaT gai hai subh ho gai hai
dil ko DhunDiye mat kab ka jal bujha hai

dard ke sahaare kab talak chalenge
sans ruk rahi hai fasla baDa hai

is jagah pe sab ne hath chhoD Dala
ye maqam shayad manzil-e-wafa hai

TuTte badan mein dil ajib shai hai
retili zamin mein phul khil raha hai

kyun hawa nai badlin mere munh ki baaten
main nai kuchh kaha hai us nai kuchh suna hai

teri kya ye haalat ho gai hai 'mamun'
KHud hi kah raha hai KHud hi sun raha hai