اردو हिंदी
Junun ziyaada bahut hota aql kam hoti | Shaahi Shayari
junun ziyaada bahut hota aql kam hoti

Ghazal

Junun ziyaada bahut hota aql kam hoti

Khaleel Mamoon

;

junun ziyaada bahut hota aql kam hoti
main qahqaha bhi lagata to aankh nam hoti

hazaron chand sitare chamak gae hote
kabhi nazar jo teri mail-e-karam hoti

nahin hai maslahat-e-gham ko aarzu teri
tera jo gham bhi na hota to aankh nam hoti

har ek zahr ko tum ne bana diya tiryak
jo tum na hote har ek sans meri sam hoti

Thahar na jata agar main faraaz par 'mamun'
talash-e-gham bhi meri hasil-e-adam hoti