اردو हिंदी
Junun talash mein hai pa na le bahaar mujhe | Shaahi Shayari
junun talash mein hai pa na le bahaar mujhe

Ghazal

Junun talash mein hai pa na le bahaar mujhe

Natiq Gulavthi

;

junun talash mein hai pa na le bahaar mujhe
nadim! ab na mere nam se pukar mujhe

surur-e-baada-e-na-KHurda raqs-e-bazm-e-hayat
bahut pasand hai aain-e-intizar mujhe

phir aaj ham-safar-e-zindagi kahan hun main
ye kaun rah bhulata hai bar bar mujhe

zamana-sazi-e-ahbab abhi nahin samjha
samajh raha hun zamana hai sazgar mujhe

suqut-e-nabz KHabar hai sukun-e-KHatir ki
ab aa chala hai ab aa jaega qarar mujhe

go dosti na sahi dushmani nibah to di
mila nasib se dushman wafa-shiar mujhe

adam ka zinda namuna hun main yahan 'natiq'
wajud mang ke laya hai mustaar mujhe