junun ke taur hum idrak hi se bandhte hain 
ki tir-o-tar ko fitrak hi se bandhte hain 
bayon ko shaKH-e-gul-e-tar hi ras aati hai 
agarche ghonsle KHashak hi se bandhte hain 
falak se nur-o-tamazat to lete hain lekin 
shajar jaDon ko faqat KHak hi se bandhte hain 
lahu se sarf-e-nazar ki ajab riwayat hai 
umid-e-nashsha yahan tak hi se bandhte hain 
hum apne hathon pe itraate hain magar 'arshad' 
tilism-e-kuza-gari chaak hi se bandhte hain
        Ghazal
Junun ke taur hum idrak hi se bandhte hain
Arshad Abdul Hamid

