junun kam justuju kam tishnagi kam
nazar aae na kyun dariya bhi shabnam
ba-hamd-o-lillah tu hai jis ka hamdam
kahan us qalb mein gunjaish-e-gham
tawajjoh be-nihayat aur nazar kam
KHusha ye iltifat-e-husn-e-barham
meri aankhon ne dekha hai wo aalam
ki har aalam hai laghzish-ha-e-paiham
KHata kyunkar na hoti aafiyat-soz
ki jannat hi na thi meraj-e-adam
KHusha ye nisbat-e-husn-o-mohabbat
jahan baiThe nazar aae hamin hum
wo ek husn-e-sarapa allah allah
ki jis ki har ada aalam hi aalam
kahan pahlu-e-KHurshid-e-jahan-tab
kahan ek naznin doshiza shabnam
masarrat zindagi ka dusra nam
masarrat ki tamanna mustaqil gham
Ghazal
Junun kam justuju kam tishnagi kam
Jigar Moradabadi