junun ka koi fasana to hath aane do
main ro paDunga bahana to hath aane do
main apni zat ke raushan karunga virane
qubuliyat ka zamana to hath aane do
main rup aur sanwarunga dastanon ke
kisi ka qissa purana to hath aane do
meri nazar mein zamane ki kaj-adai hai
nishan bahut hain nishana to hath aane do
KHarid lunga main duniya zamir ki 'sahil'
zara ruko ye KHazana to hath aane do
Ghazal
Junun ka koi fasana to hath aane do
KHalid Malik u0027Sahilu0027