اردو हिंदी
Junun irfan ban kar rah gaya hai | Shaahi Shayari
junun irfan ban kar rah gaya hai

Ghazal

Junun irfan ban kar rah gaya hai

Krishna Mohan

;

junun irfan ban kar rah gaya hai
ye kufr iman ban kar rah gaya hai

ye coffee-ghar meri shamon ka mehwar
meri pahchan ban kar rah gaya hai

farishta jis ko banna tha wo insan
faqat haiwan ban kar rah gaya hai

wo tha ek nukta-dan KHush-fikr shaer
magar nadan ban kar rah gaya hai

suKHan mera teri bazm-e-tarab mein
surili tan ban kar rah gaya hai

ye kaisi mahwiyat hai mera hona
tera paiman ban kar rah gaya hai

hue na-paid ehsas-o-taKHayyul
adab be-jaan ban kar rah gaya hai

jadidiyat mein be-chaara suKHnawar
KHirad ki shan ban kar rah gaya hai

dabistan-e-suKHan ab 'krishn' mohan
shuuristan ban kar rah gaya hai