junun-e-shauq ki rahon mein jab apne qadam nikle
nigar-e-husn ki zulfon ke sare pech-o-KHam nikle
ye be-nuri mere ghar ke ujalon ki maaz-allah
agar dekhen andhere to andheron ka bhi dam nikle
ubhaare jaiye jab tak na ubhre naqsh kaghaz par
tarashe jaiye jab tak na patthar se sanam nikle
nahin dekha tha jab tak KHud ko samjhe the na jaane kya
shuur-e-ishq le kar aaina-KHane se hum nikle
ye hasrat hai saja lun apne honTon par hansi mein bhi
ghaDi bhar ko mere dil se agar ehsas-e-gham nikle
faraaz-e-arsh tak kaise pahunchte wo bhala 'shahid'
faza-e-tur ki had se na aage jo qadam nikle
Ghazal
Junun-e-shauq ki rahon mein jab apne qadam nikle
Shahid Bhopali