junun-e-dil ka abhi tarjuman baqi hai
labon pe mohr lagi hai zaban baqi hai
gai ruton ka abhi tak nishan baqi hai
gali mein ek shikasta makan baqi hai
na pochhiye abhi unwan mere fasane ka
ye ibtida hai abhi dastan baqi hai
Dubo diya tha kabhi jis ko tund tufan ne
usi safine ka ek baadban baqi hai
hazar bar zamane ne karwaTen badlin
hamare sar pe wahi aasman baqi hai
ek aashiyane pe bijli giri to rona kya
hamare waste sara jahan baqi hai
'nigar' KHana-e-dil mein basi hai virani
makin chala gaya lekin makan baqi hai
Ghazal
Junun-e-dil ka abhi tarjuman baqi hai
Nigar Azeem