julus-e-tegh-o-alam jaane kis dayar ka hai
pas-e-ghubar bhi ek silsila ghubar ka hai
KHala-e-jaan ka safar aur phir tan-e-tanha
ye rasta bhi baDe jabr o iKHtiyar ka hai
tum aa gae ho to mujh ko zara sambhalne do
abhi to nashsha sa aankhon mein intizar ka hai
muqam-e-be-KHabari hai yahan se kitni dur
ki shahr-e-dil mein baDa shor shahryar ka hai
nahin hai sahl meri tarz par ghazal kahna
shiar ye kisi yakta-e-rozgar ka hai
Ghazal
Julus-e-tegh-o-alam jaane kis dayar ka hai
Mohammad Ahmad Ramz