juda kya ho gae tum se na phir yakja hue KHud se
mila wo iKHtiyar aaKHir ki hum tanha hue KHud se
tah-e-ab-e-dil-o-jaan motiyon ki tarah rahte hain
jo manzar is jahan-e-KHak mein paida hue KHud se
chhupa lete teri surat hum apni aankh mein dil mein
lab-e-goya ke hathon kis liye ruswa hue KHud se
uDi wo KHak-e-dil surat nazar aati nahin apni
pareshan ho gae itne ki bargashta hue KHud se
wo jhelen saKHtiyan jaan par ki dil patthar hua apna
bachaya is qadar KHud ko ki be-parwa hue KHud se
mila wo nur aankhon ko ki be saya hue hum bhi
hijab-e-la-makan paya jo be-parwa hue KHud se
paDe the be-KHabar kab se KHamoshi ke samundar mein
hawa aisi chali hum zamzama-paira hue KHud se
ab is zauq-e-huzuri ke maze kis se bayan kijiye
hum apni KHalwaton mein kis tarah goya hue KHud se
'nadim' apne safine ko baha kar le gae har-su
jo tufan qulzum-e-jaan mein mere barpa hue KHud se

Ghazal
Juda kya ho gae tum se na phir yakja hue KHud se
Salahuddin Nadeem