josh ubalta hai pighalti hai tamanna dil mein
aag hi aag hai is soz-sarapa dil mein
tera jalwa hai ki rangin sa dhoka dil mein
kabhi zulmat kabhi paida hai ujala dil mein
ab nahin tere do-alam ki zarurat mujh ko
ishq ne tere basa di nai duniya dil mein
apni aankhen to uTha mahw-shuda jalwe bhi
nazar aaenge tujhe anjuman-ara dil mein
naz tha un ko ki har qaid se aazad hain wo
main ne kar hi liya paband-e-tamanna dil mein
phunkta rahta hai kaunain ko jin ka partaw
be-zarar hai unhin jalwon ka tamasha dil mein
aap hi baada hun main aap hi saqi 'maKHmur'
saghar aankhon mein meri aur hai mina dil mein

Ghazal
Josh ubalta hai pighalti hai tamanna dil mein
Makhmoor Jalandhari