josh-e-takmil-e-tamanna hai KHuda KHair kare
KHak hone ka andesha hai KHuda KHair kare
jaan-nisaron ko natije ka tasawwur hi kahan
aaina sang pe marta hai KHuda KHair kare
sab ne rasmi hi hansi lab pe saja rakkhi hai
har koi dard mein Duba hai KHuda KHair kare
pyas pani ke tajassus mein bhaTakti hai jahan
dur tak ret ka dariya hai KHuda KHair kare
ek taraf waqt ke munh-zor bagulon ka hujum
ek taraf zard sa patta hai KHuda KHair kare
tu ne ghar yun to bulandi pe banaya hai 'figar'
tu magar nind mein chalta hai KHuda KHair kare
Ghazal
Josh-e-takmil-e-tamanna hai KHuda KHair kare
Amar Singh Figar